Desh mein jahan jahan sukha pada hai, wahan wahan bade joron se rajniti ki ja rahi hai. Karan saaf hai, Election nazadik hain, aur kaun si parti nahin chahegi ki usake sabase jyada sansad lok sabha mein jeet kar aayein.
Congress ho, BJP ho, Samajwadi party ho, BSP ho, sabhi ko chinta hai. Kyon na ho, pahali baat to yahi ki , jitani seatein abhi hain, utani to bachani chahiye , doosari in seaton ko jitani ahik badha sakein utani jyada badhanein ka prayas karane ka jugaad karana teesara Voton ka janadhar kam na hona chautha Lok lubhawan skimon ka janata ke saamane pesha karana , taki vote bank majaboot kiya ja sake.
Yahi sab parties kar rahin hain. Sukhe ki rajniti mein Uttar Pradesh uljha hua hai. Maya wati ke liye sabhi dal apani apani taiyari mein jute hain, ki unake samikaran mein kaise sendha lagayi jay.