Hinduon ke devata Bhagawan Shiv ki aaj ratri hai. Isiliye shivaratri kahate hain. hamari dharmik pustakein shiv par bahut kuchch kahati hain, likhane wale bahut kuchch likahte hain, koi unhe avadhardani kahata hai, koi unhe bholenath kahata hai, koi kuhch koi kuchch.
main samajhata hun ki shiv ekmatra hinduon ke aise devata hain , jinake andar sabhi gun, sabhi vidyayein, sabhi manvochit vidhayein maujud hain. ve kewal ekmatra devata hain jo daya karate hain to sabase nimn bindu tak daya karane chale jaate hain aur us nimn bindu se neeche jane ka koi bindu nahin bachata. Isi prakar jab vah krodhit hote hain to sabase uchch bindu tak krodhit hote hain, jisake aage koi bindu nahi hota. Yani extreme tak, chahe vah mradulata mein ho ya phir krodh ki avastha mein.
Shivling ki puja sabhi hindu karate hain. Yah hinduon ka shiv ka aisa pratik chinha hai, jo apane aap mein anootha hai, vichitra hai, lekin isake pichche chchipi hui darshan vigyan athava Philosophy ko yadi samajha liya jay to bahut hi goodharth nikalenge. Manan aur chintan karane se ek moorkha byakti bhi shiv ko samajh lega. Shiv ling ke pichche chchipe vigyan ko samajh lena shivatva ko samajh lena hai. Yah koi bahut kathin kaam nahin hai.
Ham shivratri ke bajay SHIV JAYANTI kahein to jyada behatar hoga.
Om namah shivah, bam bam bhole, har har mahadev.