Pandrah Agaust 2008 ka Pradhan Mantri ka sambodhan

Ise kya kaha jay ki Rajya sabha ke madhyam se chunakar bane pradhan mantri , sare desh ko bata rahe the, ki unaki kya upalabdhiyan rahin. Jo vyakti jindagi bhar shirsh star ki naukariyon mein raha, jisane garibi tak ko nahin dekha, abhavon tak ko nahin dekha,jamini haqiqat se kabhi do char nahin hua, jisane kabhi sarvajanik vahan se chalane ki jahamat nahin uthyi ho, jisane kabhi garibon , dehaton, ya un jagahon par jane ki jahamat na uthayi ho , jahan log kis awastha mein rah rahe hon, vah vyakti bharat jaise vishal desh ko sikh de, ki unako kya karana hai, sivay ek bade majak ke aur kuchch nahin lagata ?

 

Pradhan mantri ji ne Kashmir ka jikra kiya hai, pahale to unako khud hi yah samajhana chahiye ki , mujuda stithi ke liye jimmedar kaun hai ? Samasya khud congress ne pida ki, isaliye ki unako apana Vote bank banana hai, unaka janadhar kahin nakhisak jaye, is baat ka pura pura khyl rakkha gaya, PDP ke saath Congress ne sarakar chalayi, sara maujuda ghatana kram dekha jaye, to khud congress ki sarkar ki galati par galati hoti chali gayi, ab jab sar se pani uopar chala gaya to Pradhan mantri ji kah rahe hain, ki sare rajnitik dalon ko is samasya ka samadhan dhoondana chahiye ? Kyon ? Galati karein aap, vote bank banayein aap, malai chchane aap, jab baval sar par aaya to guhar laga rahe hain ki Madad karo.

Isase adhik dayaniy stithi bina janata ke direct chune huye Pradahan manhtri ki kabhi bhi nahin dekhi gayi .

 

Doosara Bhrasta char ka mudda, yah sabhi janatey hain ki atomic deal par hone vali Loksabha mein bahumat ke liye, kya kya nahin kiya gaya ? Ye kya bhrastachar mitayeinge, ye khud hi bhrastachar ke daldal mein phase huye hain, is bhasan se sirf aur sirf yahi jhalakata hai, ki ye neta Desh ke logon ko bevakoof aur ullooo samajhatey hai, yah kahakar ve kya sandesh dena chahtey hain, ye to vahi jane, lekin ek baat tay hai ki is desh se bhrastachar kabhi bhi nahin khatam hoga, balki aur badhega, kyonki sarkar khud hi nahin chahati ki bhrastachar khatam ho, deshvasi nahin chahatey ki bhrastachar khatam ho, mujhe nahin lagata ki bhrastachar hazaron hazar saal tak is desh se khatam ho payega ? Isaki shuruaat hi congression ne ki hai aur ab yah bimari kabhi bhi khatam nahin hogi, yah lailaj ho chuki bimari hai. Jo neta yah kahe ki bhrastachar khatam hona hai, usaka ulta sabako samajhana chahiye.

 

Teesara mahagayi ka mudda uthaya gaya, kaha gaya ki ham na hote to mahagayi kai guna badha jati. Manniya Pradhan mantri ji ko shyad bazar bhav nahin maloom hain, maloom ho bhi kaise, ve khud to kuchch kharidane jate nahin hai, unako kya pata ki aata, bhata, chawal, namak ka kya bhav hai, khane ka tel kahan ja raha hai, unako tel se kya lena dena, us janata se poochchiye, jo tel khana bhi bhul gayi hai, sabziyan khana bhi bhul gayi hai, ye kya mahagayi rokenge, kisi ke baap bhi mahagayi nahin rok payeinge, jahan netaon ki yah soch ho ki amir ko aur amir banana hai vahan yah sab batein sivay chachalava ke aur kuchch nahin lagati.

 

Kul milakar Pradhan mantri ji ka bhasan koi bahut appreciate karane wala nahin raha hai, sivay shikawa shikayat ke, kyon ki unake paad na to koi upalabdhi rahi hai na desh ko antarrashtriya biradari mein uchit sthan dene wala.

 

Mujhe to Pradhan mantri ka bhasan sunakar nirasha hi haath lagi hai, unake khatey mein appreciate karane layak kuchch bhi nahin hai. Yah sivay shabdon ki kalabazi ke aur kuchch nahin.

टिप्पणी करे