Abhi tak, MAAL, MALAI, MAKKHAN, MONEY kaat rahe UPA ke ghatak dalon ko dar sataney laga hai, ki chunav hone kistithi mein ve kya aur kahan honge, isi karan PARAMANU KARAR PAR SAATH DE RAHE SABHI UPA ke ghatak dalon mein , toot phut hona shuru ho gayi hai, jisaka taza udaharan SP aur Congress ke bich mein ho rahi tanatani se jahir ho gya hai, Vam dal to pahaley hi mal chirkar jitana phayada utha sakatey they, maximum phayada uthakar , kinare ho liye, jarurat ke samay Samajvadi aaye, lekin viparit dhruvon mein kabhi nahin bani to ab kya banegi, Samajwadi parti ko ahasaas ho gaya ki use Congress kha jayegi aur yah sach bhi hai, musalman is baar Congress ko vote dega, yah tay hai, meri Miyan bhaiyon se baat hoti rahati hai, usase mujhe laga ki abaki baar unaka rujhan Congress ki taraf hai, jo miyan bhai congreess co vote nahin denge, ve abaki bar BSP ya communiston ko vote dene ki baat soch rahe hain, aise mein samajwadi parti ko vote kuan sa Vote Bank dega ?
Yah hal dekhakar sabhi chchote dalon ko , jo abhi tak malai uda rahe the, inaka bahut bura hashra hone ja raha hai, rahi sahi kasar AMARIKA KI MANDI se padane wale asar se puri ho jayegi