Antar-rastriya Mahila Divas

Mahilaon ke liye sare vishwa mein “Mahila Divas” har saal 8 March ko manate hain. Is din yadyapi bade bade karyakram hote hain lekin in karyakramon ke baare mein pata nahin chalata. Mahilaon ke liye kya kiya ja raha hai ? , kaun kar raha hai ?, yah sab na to swayam mahilaon ko pata hai , na unake pariwar walon ko.

Bharat mein mahilaon ki badi durdasha hai. Kuchch bhi kaha jay, kitana bhi kaha jay, ladkiyan abhi bhi doyam darze ki nagarik aur pasand mani jati hain. Mahilaon ko Bhog ki vastu samajha jata hai. Samaj  jarur mahilaon ko Durga devi ka roop, kali devi ka roop,sarswati ka roop ya parvati devi ka roop kahe, lekin isake pichche sivay purush dhaari samaj ke aguaa hone ki maanasikataa ke peeche chchupe huye swarth ke alavaa aur kuchch bhi nahin hai. Vastavikataa yah hai ki Mahilalayen swayam mahilaon ki dushaman bani huyi hai, ya dushman bani baithi hain.

Jahan is tarah ka samajik virodhabhas upastithi ho, vahan mahilaon ki to durdasha hona tayshudaa aur nishchit hai.

Hamein mahilaon ke liye kya karana chahiye.

1- Har sarkari naukari mein 50 pratishat mahilaon ki bhagidari sunishchit ki jay

2- sabhi nirvachan mandalon mein 50 pratishat mahilaon ke liye arakshan sunishchit kiya jay.

3- sansad, Vidhan sabhaon, sthaniy nikayon ke chunav mein 50 pratishat ki bhagedari ho

4- Nirvachan ayog 50 pratishat seaten mahilaon ke liye chchode, in seaton par kewal mahilayein he contest karein aisa niyam aur usul banaye jaye. Purushon ko in seaton par contest ke liye ayogya ghosit kiya jaye

5- Yadi “Kanya bhrun hatya” rokani hai, to sarkar ko pratyek ladaki ke liye jab tak usaki shadi na ho, is tarah ka intazam karana chahiye ki usaki shadi ke samay paryapt dhan dahej ke liye ikaththa ho jaye

6- Ma-baap ko is tarah ki shiksha di jaye , ki ve kanya ko bojha na samajhein

Kewal shoshe chchodane se kaam nahin chalega. Thos aur sahi niti ko apanayeinge to kamayabi jaroor milegi, nahin to mahila divas sivay dikhave aur kahanapuri ke alava aur kuchch nahin nazar ayega.

6 टिप्पणियाँ

  1. Mahilaon ke liye sare vishwa mein Mahila Divas har saal 8 March ko manate hain. Is din yadyapi bade bade karyakram hote hain lekin in karyakramon ke baare mein pata nahin chalata. Mahilaon ke liye kya kiya ja raha hai, kaun kar raha hai, yah sab na to swayam mahilaon ko pata hai , na unake pariwar walon ko.

    Bharat mein mahilaon ki badi durdasha hai. Kuchch bhi kaha jay, kitan bhi kaha jay, ladkiyan abhi bhi doyam darze ki nagarik aur pasand mani jati hain. Mahilaon ko Bhog ki vastu samajaha jata hai. Samaj jarur mahilaon ko Durga devi ka roop, kali devi ka roop,sarswati ka roop ya parvati devi ka roop kahe, lekin isake pichche sivay swarth ke aur kuchch bhi nahin hai. Mahilalayen swayam mahilaon ki dushaman hai, ya dushman bani baithi hain.

    Jahan is tarah ka virodhabhas ho, vahan mahilaon ki to durdasha nishchit hai.

    Hamein mahilaon ke liye kya karana chahiye.

    1- Har sarkari naukari mein 50 pratishat mahilaon ki bhagidari sunishchit ki jay

    2- sabhi nirvachan mandalon mein 50 pratishat mahilaon ke liye arakshan sunishchit kiya jay.

    3- sansad, Vidhan sabhaon, sthaniy nikayon ke chunav mein 50 pratishat ki bhagedari ho

    4- Nirvachan ayog 50 pratishat seaten mahilaon ke liye chchode, in seaton par kewal mahilayein he contest karein. Purushon ko in seaton par contest ke liye ayogya ghosit kiya jaye

    5- Kanya bhrun hatya rokani hai, to sarkar ko pratyek ladaki ke liye jab tak usaki shadi naho, is tarah ka intazam karana chahiye ki usaki shadi ke samay paryapt dhan dahej ke liye ikaththa ho jaye

    6- Ma-baap ko is tarak ki shiksha di jaye , ki ve kanya ko bojha na samajhein

    Kewal shoshe chchodane se kaam nahin chalega. Thos aur sahi niti ko apanayeinge to kamayabi jaroor milegi, nahin to mahila divas sivay dikhave ke aur kuchch nahin nazar ayega.

  2. Aaj humne mahila ko samjha kya hai ke ye sirf hamare kaam ke liye banayyee gayi hai lekin haqeekat kuchh aur hai Mahila wo hai jo Purush ko 9 Mahine apne pet me rakhti use janne ka dukh bardasht karti agar koi mahila ke saath annyaye karta hai to use us maa ke kok ki laaj rakhni hogi jis me wo 9 mahine tha.Mahila balidan ka dusra naam hai kyunki us jaisa balidan purush nahi de sakta wo her waqt har jagah balidan deti hai kabhi Maa bankar Kabhi Beti Bankar kabhi bahen bankar to kabhi Patni bankar mahila ka darja bahot uncha hai.

Leave a reply to Brajesh bharti जवाब रद्द करें