महीना: मार्च 2008

Haki ki hatya

Haki federation ke alambardaron ne milakar haki ki hatya sahi mayane me kar dali hai. Ab KPS Gil ko kya kaha jaye. Unake sukhe huye chehare par ek doosare ke opposite direction me rakhi huyi three not three jaise muchche bhi unake rob mein koi ijapha nahin kare saki. Sabhi bharat vasi Gil ki ma-bahan se rishta jod rahe hain.

Lekin isase koi farak nahi padane wala. Gil sahab thahatre theth police adhikari, unako to har sangathan policia andaz mein hi chalana hai. Desh ki ijjt gaddhe mein chali jay, inako usase kya matalab. Jab sabhi log desh ko bhad mein jhonke de rahe hon, wahan Gil ne bhi jhonk diya to kya pharak padane wala.

Vastaw mein sare desh vasiyon ka jamir aur atma dhire dhire marati chali ja rahi hai. Jahan Bhrastachar itani jadein jama chuka hai, ki jo jahan hai wo hai pais hai paisa ki rat lagaye hai, kahan se rakam mil jaye, haram ki bina mehanat ki rakam mil jaye, apana kam ban jaye , doosare ka kam chahe bhad mein chala jaye, jahan is tarah ki prabrattiyan  hongi, wahan yahi sab dekhane ki milega.

Mera beta sikandar ban jaye chahe usake liye kuchch bhi karana pade, sarakari naukari mil jaye chahe usake liye kuchch bhi kyon na karana pade, karz lena pade, jamin jayadad giravi kyon na rakhani pade, sab karane ke liye taiyar hain, bhale hi desh bahd mein chala jaye.

 Jahan is tarah ki soch hogi, wahan desh to bhad mein jayega hi, ijjat maryada se bhi aise soch valon ka ji nahin bharega. inaka vas chale to yah sab bech dein, desh bhi. Mujhe nahin lagata ki yah sab jaldi sudharega, balki aur jyada hi ho raha hai. Uah silsila rukega bhi nahin

Hamein karana kya chahiye ?

1- Haki federation ke sabhi sadasyon ko naitikata ke adhar par haki ki durdasha karane ki jimmedari leni chahiye.

2- Chunki Haki federation ek swayattashasi sanstha hai usame sidhe sidhe kendra sarakar koi dakhal nahin de sakati hai, isake liye isamein aise pravadhan kiye jayein ki inaki committi mein kendra sarakar ke paryavekshak maujud rahein aur inake karyakalapon ki nigarani ki jaye.

3- Beijjati jab hoti hai to sare desh ki hoti hai, bhale hi sidhe sarkar ka hath na ho. Desh ke gaurav aur rastra ki ijjat dubone vale longon ko kannon ke dayare mein lana chahiye aur unhe javab deh banana chahiye

4- Rastra sarvopari hai, desh ka kanoon sarvopari hai, rastra ki naak katane walon ko kisi bhi kimat par nahin bakhasana chahiye , chahe we koi bhi hon, aur kitane bhi shaktishali kyon na hon

Hillary Clinton ko jeetana chahiye

America mein rastrapati ke chunav ho rahe hain. Hillary clintan is cgunav mein ek pratyashi hain. Abama se mujhe sahanubhuti hai aur hillary se bhi.

Lekin meri ganit ke hisab se Hillary ko rastrapati ke pad par american janata ko chunana chahiye. Jahan tak maine hillary ke bare mein jankari prapta ki hai aur unako sansad ke taur par  dekha aur suna hai, usase mujhe lagata hai ki hillary clinton ko is baar american rastrapati chuna jana chahiye.

Pahali baat yah ki Bill clinton ki patni hone ke naate, ve bahut achcha anubhav rakhati hain, kyonki unhone sanasar yani vishwa star ki rajniti ka bahut karib se jayaja liya hai jo shayad abama ke pas nahin hai. Dusare ve ek mahila hain, agar koi shasakta mahila jo ati vidwan ho, aur kabil ho to use jaroor sthan dena chahiye, jaisa ki England mein Margaret thachar ko pradhan mantri ka pad diya gaya tha.

Antar-rastriya Mahila Divas

Mahilaon ke liye sare vishwa mein “Mahila Divas” har saal 8 March ko manate hain. Is din yadyapi bade bade karyakram hote hain lekin in karyakramon ke baare mein pata nahin chalata. Mahilaon ke liye kya kiya ja raha hai ? , kaun kar raha hai ?, yah sab na to swayam mahilaon ko pata hai , na unake pariwar walon ko.

Bharat mein mahilaon ki badi durdasha hai. Kuchch bhi kaha jay, kitana bhi kaha jay, ladkiyan abhi bhi doyam darze ki nagarik aur pasand mani jati hain. Mahilaon ko Bhog ki vastu samajha jata hai. Samaj  jarur mahilaon ko Durga devi ka roop, kali devi ka roop,sarswati ka roop ya parvati devi ka roop kahe, lekin isake pichche sivay purush dhaari samaj ke aguaa hone ki maanasikataa ke peeche chchupe huye swarth ke alavaa aur kuchch bhi nahin hai. Vastavikataa yah hai ki Mahilalayen swayam mahilaon ki dushaman bani huyi hai, ya dushman bani baithi hain.

Jahan is tarah ka samajik virodhabhas upastithi ho, vahan mahilaon ki to durdasha hona tayshudaa aur nishchit hai.

Hamein mahilaon ke liye kya karana chahiye.

1- Har sarkari naukari mein 50 pratishat mahilaon ki bhagidari sunishchit ki jay

2- sabhi nirvachan mandalon mein 50 pratishat mahilaon ke liye arakshan sunishchit kiya jay.

3- sansad, Vidhan sabhaon, sthaniy nikayon ke chunav mein 50 pratishat ki bhagedari ho

4- Nirvachan ayog 50 pratishat seaten mahilaon ke liye chchode, in seaton par kewal mahilayein he contest karein aisa niyam aur usul banaye jaye. Purushon ko in seaton par contest ke liye ayogya ghosit kiya jaye

5- Yadi “Kanya bhrun hatya” rokani hai, to sarkar ko pratyek ladaki ke liye jab tak usaki shadi na ho, is tarah ka intazam karana chahiye ki usaki shadi ke samay paryapt dhan dahej ke liye ikaththa ho jaye

6- Ma-baap ko is tarah ki shiksha di jaye , ki ve kanya ko bojha na samajhein

Kewal shoshe chchodane se kaam nahin chalega. Thos aur sahi niti ko apanayeinge to kamayabi jaroor milegi, nahin to mahila divas sivay dikhave aur kahanapuri ke alava aur kuchch nahin nazar ayega.

Communiston ki haqiqat

Lal jhande ki haqiqat ab sabake samane hai. ye bhi gaddi ke liye mare ja rahe hain. sahi hai, jab sabhi kursi paane ke liyebetab hain , kuchch bhi kar sakatey hai. Nandi gram mein kya hua , sabako pata hai ki lal jhande ne wahan kya gul khilaye hain. ye khud sabako sarvahara varg ka pratinidhi batate hain, ye khud poonji patiyon ke haathon mei bike huye log hain. koi bhi neta  communist party ka dekhen, inake sabhi ristedar america aur urop ke deshon mein base huye maujen kaat rahe hain. Manmohan singh to inki kathaputali bane huye hain. Pichchle char salon se adhik ho gaye hain, ye sarkar ko black mail kar rahe hain.

Tripura mein inaki jeet se yah na samajhiyega ki vahan communist aa gaye hain. Darasal yah ilaka maovadion ka hai. Aur aap achchi tarah se jaan lijiye ki maovad ko kaun aur kisane sahahyata aur prasray diya hai. Ab yahan comminust nahin jitenge to aur kaun jit sakata hai.

Shiv Jayanti ya Shiv Ratri

Hinduon ke devata Bhagawan Shiv ki aaj ratri hai. Isiliye shivaratri kahate hain. hamari dharmik pustakein shiv par bahut kuchch kahati hain, likhane wale bahut kuchch likahte hain, koi unhe avadhardani kahata hai, koi unhe bholenath kahata hai, koi kuhch koi kuchch.

main samajhata hun ki shiv ekmatra hinduon ke aise devata hain , jinake andar sabhi gun, sabhi vidyayein, sabhi manvochit vidhayein maujud hain. ve kewal ekmatra devata hain jo daya karate hain to sabase nimn bindu tak daya karane chale jaate hain aur us nimn bindu se neeche jane ka koi  bindu nahin bachata. Isi prakar jab vah krodhit hote hain to sabase uchch bindu tak krodhit hote hain, jisake aage koi bindu nahi hota. Yani extreme tak, chahe vah mradulata mein ho ya phir krodh ki avastha mein.

Shivling ki puja sabhi hindu karate hain. Yah hinduon ka shiv ka aisa pratik chinha hai, jo apane aap mein anootha hai, vichitra hai, lekin isake pichche chchipi hui darshan vigyan athava Philosophy ko yadi samajha liya jay to bahut hi goodharth  nikalenge. Manan aur chintan karane se ek moorkha byakti bhi shiv ko samajh lega. Shiv ling ke pichche chchipe vigyan ko samajh lena shivatva ko samajh lena hai. Yah koi bahut kathin kaam nahin hai.

Ham shivratri ke bajay SHIV JAYANTI kahein to jyada behatar hoga.

Om namah shivah, bam bam bhole, har har mahadev.

Bala saheb ji thakare aur Mumbai

Main Bala saheb ji thakare ka bahut samman karata hun. Ek bar Blitz akhabar mein bala saheb ji ke baare mein sampadak RK Karanjia ne kuchch likha diya tha aur unhi dino mein Blitz ne apane trade mark MUKKA ka jab Fort ilake mein statue banakar pradarshan kiya tha to Bala saheb ji ke Shiv sainikon nei usame aag laga di thi. Sampadak Karanjia ne unaki is karyavahi ke badale mein apane akhabar mein unako jamakar khari khoti sunai thi.

Lekin isase Bala ji ko koi fark nahin pada ulate vah aur shashakta ho gaye. Dar asal rajniti ek Noora kushti ka khel hai. yah luka chchipi ka khel ek dal doosare dal se aur doosara teesare dal se hamesha karate rahate hain. Har dal ek doosare ko jor ajmaish ka  aankada, jo samay ke antaral se , vak yudhdha mein badal jata hai aur phir yah ladai akhabaron aur media ke doosare vargon mein failakar janata tak aa jati hai. Janata sab tamashe ki tarah se dekhati hai. Janata kuchch kar bhi kya sakati hai sivay mook darshan ke.

Isi ka phayada rajnitigya uthate hain. Aaj bhale hi Bala sahab ji apani moonchche phalakar kar “Marathi manush” ka nara de rahe hon, lekin isake pichche bhi rajniti hai. Vah hai apane bhatije Raj thakarey ko patakhani dene ka, bhatije ke sur mein sur milakar jo bhi bala sahab ji kah rahe hain, vah marathi manush ke mudde ko kamajor karane ka hai. Kante se kanta nikalata hai aur yahi Bala sahab kar rahe hain.

Mujhe ummid hai, ek do haftey mein sab samanya ho jayega.

The Grandson of Amitabh Bachchan

Do din pahale maine al-subah yani bramha muhirt mein ek sapana dekha, ki main Mumbai mein super star Amitabh Bachchan ke pote yani grandson ko apani gode mein lekar khila raha hun, puchakar raha hun. Amitabh ji ne mujhe apane grandson ko apane haath se mujhe mere hathon mein dete huye bole, “Pandit ji , ise ashirvad dijiye.” Maine unake pote ko apani dono bahon mein liya aur use ashirvad diya, phir kuchch der tak main use puchakarta raha aur khilata raha. Main bada gadagad tha ki itane bade super star ke pote ko main khila raha hun aur ashirvad de raha hun.

Main Amitabh Bachchan se kabhi vyaktigat ya aamane saamane nahin mila, sivay TV aur Filmon ke. Inake Pita ji Shri Harivansh Roy ji Bachchan se ek aadh kavi sammelanon mein kavitayein sunane ka mauka jaroor mil chuka hai.

Main bahut gahari nind mein so raha tha. Sote sote mujhe dhyan aya ki main mumbai kab aa gaya? jahan main rahata hun vahan se mumbai lagabhag 1000 kilometer se adhik doori par hai. main sote sote  vichar kar raha tha ki Mumbai aane ka mera koi programm dooor door tak nahin hai, ye main kaise yahan aa gaya ? Thodi chetana aayi aur meri nind halki huyi to maine adhanindi aankhe kholkar dekha ki main apane kamare mein hun aur  jo bhi dekha rahatha vah sab sapana dekha raha tha.

Is sapane ko lekar poore din main thoda pareshan raha. Main Filme dekhata nahin hun. TV bhi bahut kam dekhata hun. Samachar jaroor dekhata hun. Aadha ghanta se adhik main TV nahin dekhata, kyonki mujhe  adhik phurasat nahin rahati.

Sapana to sapana hi hota hai. Sapane kabhi sach bhi hote hain aur kabhi jhoote bhi. Lekin Amitabh Bachchan ke liye Main Ishwar se jaroor prathana karunga ki yah sach ho.

Pakistan ke neta kya karein

Pakistan mein election ho chuke hain. PPP aur Nawaz sharif ke dalon ne kahdit janadesh prapta kiya hai. trishanku common house ban gaya  hai. badi vichitra stithi hai. musharraf ka mamala bhi bada pechida sa hai.

mere vichar se miyan musharraf ko abhi apane pad par bane rahane dena chahiye. kyonki vahi ek kadi hain jo purani aur nayi stithion ko kuchch had tak sambhaal sakate hain. Musharraf bahut kuchch jhel chuke hain, isaliye unhe abhi kinare lagana buddhimani ki baat nahin hogi. Musharraf ke bare mein Pakistan ke rajnitigyon ko abhi kuchch nahin socahana chahiye, inhe abhi jas ka tas stithi mein rahane dena chahiye.

Sabase aham sawal yah hai ki pakistan ke rajnitigya kitani jaldi democratic sarkar bana sakate hain. Isame deri hone se unaka rajnitik nukasan hai. ise bachana chahiye. Nawaj sharif aur jaradari dono ko sarakar milakar banani chahiye. Yahan aham ki bhawana ka koi sthan na ho. Mukhya baat democracy ki hai. ise bachana sabhi rajnitigyon ka farz hai. Prime minister koi bane , yah itana mahatwa poorna nahin hai jitana mahatwa purna yah hai ki sarakar kaise jaldi se jaldi banayi jaye. deri se sarkar banane ka matalab yah nikala jayga ki sarakar gathan ke mamle mein rjnitik dalon mein marakat kisi mudde ko lekar chal rahi hai.

Pakistan ki janata nei rajnitik dalon ko democracy ke pakshsha mein vote diya hai, is sachchai ko sabhi ko swikar karana chahiye aur jald se jald sarkar banana chahiye. Masale  baad mein bhi suljhaye ja sakate hain.

Fauri jarooart sarakar banane ki hai.

Gandagi kab door hogi

Mujhe aksar bahar ke shaharon mein jana padata hai. Kabhi dilli, kabhi mumbai, kabhi rajasthan ke shahron mein, kabhi dakshin ke shaharon mein. Uttar pradesh aur bihar, bengal ke shararon mein amooman bahut gandagi hoti hai, yahan ke log safai pasand  kam lagate hain. yahi hal kamoveshi madhya pradesh, maharastra ke shaharon pe lagoo hoti hai. lekin madhya pradesh aur  maharastra ke kuchch shaharon mein safai bhi dikhai deti hai. Gujarat ke log safai pasand lagate hain, isiliye vahan gandagi kuchh kam nazar aati hai.

Mujhe lagata hai ki safai karmachari bahut haram khor ho gaye hain. ye gandagi na saaf karane ke karan, paroksha athava aparoksha roop se bimariyon ko nyota de rahe hain.  aaj jitani bhi kathin bimariyan nazar aa rahi hain, vah nishchaya hi kuchch na kuchch gandagi ki den hain. masalan asthama, phephadon ki takalifein, pet se sambandhit rog, jo saaf pani na milane ke karan aur adhik badha rahe hain.

Ab isaka kya ilaj hoga ya hona chahiye ? chanakya ka sujhav hai ki berojgaron ko safai ke kaam mein lagaya jay, yah thekedari ke antargat kiya ja sakata hai. Ilake ko baant karake nali ki safai, sewer ki safai sadak ki safai ka kaam ityadi berojgaron ke jhund ko yadi saup dete hain to isase naujawanon ko rojagar to prapta hoga hi, nagarik bhi jaroorat ke anusar bina kisi lag lapet ke inhe bula kar safai ka karya kara sakenge.

Nahin to mujhe ek sher isi baabat kahana padega ki:

Saki sharab pine de, nali mein baith kar,

ya vah jagah bata de , jahan gandagi na ho