Videsh Rajniti

Pakistan ke rajnitigya aur neta abhi Miyan Musharraf ko President ke pad par banaye rakkhein

Miyan musharraf Pakistan desh ke President hain, jaisa ki khabare aa rahi hain unase , yahi andaza lag raha hai ki shayad wahan ke rajnitigyon ka ek gut Miyan Musarraf ko hatane par tula hua hai.

Yahan ek baat Pakistan ke rajnitigya samajh lein , Miyan Musharraf ko agar gaddi se hataya to Pakistan kisi ke sambhale nahi sambhalega. Halat itane bure ho chuke hain ki Miyan Musharraf hi use sambhal pa sakatey hain. Unhe pata hai ki kahan kya ho raha hai, wahan ki kya paristhitiyan hain,  aur isase kaise nipta ja sakata hai. Agar Miyan Musharraf hatey to Pakistan ke bahut bure hal ho jayeinge.

Behatar yahi hoga ki miyan musharraf  ko abhi gaddi par baithayein rakkhein, unhe hatayein nahin. Samajhdari isi mein hai ki Pakistan ke rajnitigya apani apani vyaktigat mahatvakanchcha ko bachaye rakkhe, jab mauka aave aur desh ki stithi dharre par aa jaye, tab Miyan Musharraf ko hatane ke liye vichar karein, isase pahale nahin. Is samay Pakistan apani aantarik samsyyon se jujha raha hai, vahan halat bahut kharab ho rahe hain, aise mein Rajnitigya pahale in samasyon se nipatey, baad mein kuchch aur sochein. Koi bhi rajnitigya Miyan Musharraf ko hatane ke liye , philhal  koi muchchon ki ladai ka prashna na banve, yahi achcha hoga.