Rajniti

Kya Lok sabha Chunav Hone ki kagaar par aa gaye ?

Yah sawal sabhi desh wasiyon ke samaney hai, ki kya ham Loksabha ke chunav ke liye taiyar ho jayein ?

 

Abhi mahaul to aisa nahin lagata hai, jaisa ki logon ka ankalan hai, ek do pakahware mein to kuchch bhi nahin hone wala, par jaisi rassakashi ho rahi hai aur aichatani jari hai, usase to yahi lagata hai ki kuchch na kuchch to hoga jaroor.

 

Mera ankalan yah hai, ki abhi july mahina aur agast mahina tak to noora kushti chalegi, dhamakane aur manane tatha ek doosare ko dhaus patti dene ka silsila jari rahega. September aur October ye do mahine Bhartiya Rajniti ke liye bahut crucial honge. In do  mahino  mein sambhavana hai, ki Congress koi aar paar ka nirnaya legi, aur parmanu karar par sidhe hi America se baat karegi, baam dal chahein jitana ho halla machayein, tab tak kaam lag chuka hoga. Sarkar yadi alpamat mein bhi aati hai to yah nirnay hoga Loksabha ke andar. Jaisa ki sabhi janatey hain ki Rajnitik dal kab kya gul khila dein, koi nahin janata. Jab tak ho halla machega tab tak aa jayega december, sarkar bache ya gire , itana samay nirvachan aayog ke paas rahega ki vah aaram se election kara sake, idhar January ke akhir tak nai sarkar banakar aa jayegi.

 

Is dhamachaukari ke bich mein congress ko kahane ka mauka mil jayega, ki hamane bahut koshish ki, America bhi khush aur bhartiya janata bhi khush.