Day: जून 16, 2008

Parasi samuday ki ghatati jan sankhya

Mumbai ke log Batate hain ki apane desh ki swatantrata se pahale, desh ke Parasi samuday ki jan sankhya karib char lakh ke aas paas thi. Ab yah jansankhya ghatakar lagabhag 75 hazar ke aas paas aa gayi hai, Isaka karan kya hai, yah maine janane ki koshish ki, jo bhi facts samane aaye hai usase yah lagata hai ki, parasi samaj ki yah samasya unaki apani hai aur ab samay ki jaroorat hai ki ve is samasya par vichar karein.

 

Mera bahut se parasi parivaron se mel milap hai. Main aksar unase pochchata hun ki ve apani janasankhya badhane par dhyan kyon anhin de rahe hain. Ek baar ek parasi sajjan mere paas aaye, unake saath unaki dharam patni bhi thi aur do bachche bhi. Maine unase yah janane ki koshish ki , ki unaki jansankhya  kyon kam hoti ja rahi hai ?

 

Mujhe kuchch batein pata chali, pahali Parasi samuday ke ladake shadi ke anikshuk hote hain, kyon ? isaka javab yah mila, ki parasi samuday ke logon ke rahane ke style bilkul alhada tarike ke hain, yadi ve shadi kar lete hain to unake rahane ke style aur shano shaukat mein fark padega, jise ve bardashta nahin kar sakatey, is badhe huye kharch ko bachane ke liye, ve shadi nahin karate hain. Doosara, yadi ve shadi karenge to jahir si baat hai, unake kharche bhi badhenge, yah ek aur vyakti ka kharcha unake bajat se bahar ki baat hai, isiliye ve soch samajh kar shadi karatey hain aur bachche bhi kam paida karane mein ichcha rakhatey hain, mamala saaf hai ki yah aabadi ka masla Parasiyon ki arthik stithi se juda hai.

 

Aam taur par parasi samaj ke log, Rajniti jaisi baton se door rahatey hain. Mumbai mein Sanjan ke pas Mumbai ki Parasi samaj ki seva karane wali ek mahila Meher Master Moos ne Zorostrian Foundation sthapit  kiya hai, mujhe ek parasi sajjan bata rahe the, ki yahan par ek time capsule jamin ke andar chchoda gya hai, taki jab Parasi samaj ke log vilupta jatiyon mein ho jayein, tab unake bare mein janakari is time capsule se jaye.

 

Yah to samay hi batayega, ki kya hoga ? Philhal is disha mein PARASI SAMAJ ke logon ko batana chahiye ki ve apani jansankhya kaise badhayein ? Mera to yahi mashwara hai, ki Parasi samaj apni janasankhya kam se kam 4 lakh to avashya hi le aaye. Bachche paida karane ke liye Parasi Mahilaon aur Parasi Navyuvakon ko aage ana chahiye. Main Parasi samuday ko vilupta hote nahin dekhana chahata. Meri ichcha hai ki ve anant kaal tak apani pahachan is duniya mein banaye rakkhein.